Search
Poetry / Love
Mohammad Asif
Ab Uss Kay Dar Say Mein Utha Malal Koi Na Tha
AB USS KAY DAR SAY MEIN UTHA MALAL KOI NA THA
KAY MERI JHOLI MEIN BAQI SAWAL KOI NA THA
BAHAR AAI TOU APNAY SIWAYE ZANDAAN KAY
TAMMAM SHEHAR MEIN PERISHAAN HAAL KOI NA THA
KAHAN SAY LAA KAY BICHAIN TUMHARI RAH MEIN PHOOL
KAY DAAL DAAL TOU KIYA KHAAL KHAAL KOI NA THA
WOH DIN HI THEEK THAY JUB DIL MAIN RUTH BADALNAY KA
GUMAAN O KHUWAB YAQEEN O KHNAYAL KOI NA THA
YAQEEN KAR KAY TERI AANKH UTHNAY SAY PEHLAY
MERI NIGAH KAY SHISHAY MEIN JAAL KOI NA THA
HOWA JO YUN TOU YEH KHOOBI TERAY HUNAR KI THI
MERI WAFAOON MEIN MERA KAMAAL KOI NA THA,

·
1 Like ·
May 03, 2016 at 18:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Uss Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin
Uss Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujarra Mohsin,
Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahin Aye Ga,
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin,
Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha,
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin,
Uss Ko Pana Tou Muqadar Ki Lakeeron Mein Nahin,
Uss Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin…….,

Apr 24, 2016 at 11:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga
Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga
Jis Per Tera Naam Likha Hay Us Taaray Ko Dhundon Ga
Tum Bhi Har Shab Dia Jala Kar Palkon Ki Dehleez Pay Rakhna
Main Bhi Rooz Ak Khowab Tumhara Shaher Ki Janib Bhejon Ga
Hijar Kay Darya Main Tum Parhna Lehron K Tahreerain Bhi
Pani Ki Har Satah Pay Main Kuch Dil Ki Baatein Likhon Ga
Jis Tanha Say Pair Kay Nechay Hum Barish Main Bheegay Thay
Tum Bhi Us Ko Chho Kay Guzarna , Main Bhi Us Say Lipton Ga
Khowab Musafir Lamhon Kay Hain, Saath Kaha Tak Jaaye Gay
Tum Nay Bilkul Theek Kaha Hay, Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga,

Apr 09, 2016 at 09:04
Category: general
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meray Wahm O Guman Say Bhi Ziadah Roth Jata Hai
Meray Wahm-O-Guman Say Bhi Ziadah Roth Jata Hai
Ye Dil Apni Hadoon Main Reh Kar Itna Toot Jata Hai
Main Roun To Dar-O-Dewaar Mujh Pe Hansnay Lagtay Hain
Hanson To Meray Andar Janay Kya Kya Toot Jata Hai
Main Jis Lamhay Ki Khawhish Main Safar Karta Hon Sadiyon Ka
Kahin Paon Talay Aa Kar Wo Lamha Toot Jata Hai
Meray Khawabon Ki Basti Say Janazay Uthtay Jatay Hain
Meri Aankhain Jisay Chhu Lain Wo Sapna Toot Jata Hai….

Mar 16, 2016 at 13:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tumharay Na Honay Say
Tumharay Na Honay Say Koch Bhi Nahin Badla
Ye Suraj Bhi Wahin Say Nikalta Hai
Aasman Pe Taray Bhi Chamaktay Hain
Aur Chand Ki Chandni Bhi Hoti Hai
Hawa Bhi Chalti Hai
Darya Bhi Behtay Hain
Phool Bhi Khiltay Hain
In Main Khushbo Bhi Hoti Hai
Lekin!!
Na Janay Q Tumharay Na Honay Say
Har Cheez Adhori Lagti Hai
Har Subha Sham Si Lagti Hai
Har Muskan Udas Si Lagti Hai
Har Mehfil Anjan Si Lagti Hai
Har Dharkan Be-Jan Si Lagti Hai
Sach Pooch To Sari Duniya
Veeran Si Lagti Hai….
Ye Suraj Bhi Wahin Say Nikalta Hai
Aasman Pe Taray Bhi Chamaktay Hain
Aur Chand Ki Chandni Bhi Hoti Hai
Hawa Bhi Chalti Hai
Darya Bhi Behtay Hain
Phool Bhi Khiltay Hain
In Main Khushbo Bhi Hoti Hai
Lekin!!
Na Janay Q Tumharay Na Honay Say
Har Cheez Adhori Lagti Hai
Har Subha Sham Si Lagti Hai
Har Muskan Udas Si Lagti Hai
Har Mehfil Anjan Si Lagti Hai
Har Dharkan Be-Jan Si Lagti Hai
Sach Pooch To Sari Duniya
Veeran Si Lagti Hai….
·
1 Like ·
Feb 13, 2016 at 08:02
Category: sad
Social Wall / Photos
Farhan Bilal
How Many People To And Say Subhan Allah For Him ?
·
3 Like ·
Jan 30, 2016 at 13:01
Category: photos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tairi Attaa Hay Kab Say
Buhut Majboor Ho Kar Likh Raha Hoon
Kyun k Kal Sham Say Ro Raha Hoon
Kuch Aisi Baat Kar Di Us Na
Jaisay Khangar Hee Ghonp Diya Ho Us Na
Jo Us Na Ki Main nay Suni Dehan Sa
Wo Boli Kyun Lag Rahay Hain Aap Pareshan Say
Isi Doraan Line Cut Gayi Achanak
Chaa Gaya Hoo Jaisa Andhera Bhayanak
Phir Buhut Roka Samjaya Dil Ko Main nay
Na Kar Paya Bardasht Kaha Shab Khair Main nay
Wo Boli Apna Khayal Rakhiye Ga
Main Bhee Bola Aap Bhee Aisa Hee Kijiye Ga
Subha Hotay Hee Ajeeb See Halat Thi
Jaisay Khulay Road Par Zabardast Traffic Jam Thi
Fasila Kiya Ab Na Bolonga Us Say
Na Daikhoonga Na Kahoonga Kuch Us Say
Bus Yeh Hee Iltija Hay ab Rub Say
K Day Day Wo Jo Tairi Attaa Hay Kab Say

2 Like ·
Sep 30, 2015 at 16:09
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Shamsi Tawanai Say Chalnay Wali Car Mutarif
ایران میں شمسی توانائی سے چلنے والی نئی کار متعارف کروا دی گئی ہے۔ جسے ایرانی سائنسدانوں اور ماہرین نے تیار کیا ہے۔ ٹی وی رپورٹ کے مطابق 150 کلو گرام وزنی اس سولر کار کو ایران نے غزلی ٹو کا نام دیا گی...
مزید پڑھیں
·
2 Like ·
Sep 20, 2015 at 15:09
Category: featured
Poetry / 24
Teri Us Ada Say Bhi Houn Aashna
Teri us ada say bhi houn aashna
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
·
1 Like ·
Sep 12, 2015 at 19:09
Category: 24
Sponored Video